Wafa ko aazmana chahiye tha humara dil dukhana chahiye tha
Aana na aana meri marzi hai tumko to bulana chahiye tha
Humari khwaahish ek ghar ki thi use sara zamaana chahiye tha
Meri aankhein kaha nam hui thi samundar ko bahana chahiye tha
Jeena Chaha Magar Jee Na Sake Tere Bina
Char Daman Hum See Na Sake Tere Bina
Tune Mujhe Bhool Kar Nai Duniya Basali
Hum To Muskura Bhi Na Sake Tere Bina
Koi dhoka nahin aesa jo na khaya hum ne,
Zindagi bhar tera sath nibhaaya hum ne,
Kabhi mehnat ka silaa apni to paya hi nahin,
Chhaaon auron ko mili pairr lagaya hum ne..